Pages

Thursday, 19 April 2012

zara samne to aao chhaliye


zara samne to aao chhaliye
chhup chhup chhalne me kya raz hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai

Matlab nikal gaya hai to, pahchaante nahi


Matlab nikal gaya hai to, pahchaante nahi
yu ja rahe hain jaise hamein, jaante nahi

apni garaz thi jab to lipatna kabool tha
baahon ke daayare mein simatna kabool tha

Aaj mausam bada beimann hai bada


Aaj mausam bada beimann hai bada
beimann hai, aaj mausam
aane vaalaa koii tuufaan hai koii
tuufaan hai, aaj mausam

tere nainon ke main deep jalaaoonga


rafi : o tere nainon ke main deep jalaaoonga
apani aankhon se duniya dikhalaaoonga
tere nainon ke ...

lata : achchha
vo kya hai
ra : ek mandir hai
la : us mandir mein
ra : ek moorat hai
la : ye moorat kaisi hoti hai
ra : teri soorat jaisi hoti hai
la : vo kya hai

main kya jaanoon chhaanv hai kya aur dhoop hai kya
rang-birangi is duniya ka roop hai kya
vo kya hai
ra : ek parvat hai
la : us parvat pe
ra : ek baadal hai
la : ye baadal kaisa hota hai
ra : tere aanchal jaisa hota hai
la : vo kya hai

ra : mast hava ne ghoonghat khola kaliyon ka
jhoom ke mausam aaya hai rang-raliyon ka
la : vo kya hai
ra : ek bagiya hai
la : us bagiya mein
ra : kai bhanvare hai
la : bhanvare kya rogi hote hain
ra : nahi dil ke rogi hote hain

la : aisi bhi anjaan nahi main ab sajana
bin dekhe mujhako dikhata hai sab sajana
ra : achchha
to vo kya hai
la : vo saagar hai
ra : us saagar mein
la : ik naiya hai
ra : are toone kaise jaan liya
la : man ki aankhon se naam liya
vo kya hai........

Film - ANURAAG
Singer(s): RAFI, LATA Editing- S.M.Farid Bharti

Chura liya hai tumne jo dil ko


--FEMALE--
Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Badalke meri tum zindagaani
Kahin badal na jaana sanam
Oh, le liya dil, oh haai mera dil

Is bhari duniya men, koi bhi hamaara na hua


Is bhari duniya men, koi bhi hamaara na hua
gair to gair hain, apanon ka sahaara na hua

log ro-ro ke bhi is duniya men ji lete hain
ek ham hain ki hanse bhi to guzaara na hua
is bhari duniya men..........

ik muhabbat ke siva aur na kuchh maanga tha
kya karen ye bhi zamaane ko ganvaara na hua
is bhari duniya men..........

aasamaan jitane sitaare hain teri mahafil men
apani taqadir ka hi koi sitaara na hua
is bhari duniya men..........


Movie : Bharosa Music Director- Ravi
Singers:- Mohammad Rafi Editing S.M.Farid Bharti