Pages

Thursday 19 April 2012

zara samne to aao chhaliye


zara samne to aao chhaliye
chhup chhup chhalne me kya raz hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai


zara samne to aao chhaliye
chhup chhup chhalne me kya raz hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai
zara samne to aao chhaliye

ham tumhe chahe tum nahi chaho
aisha kabhi na ho sakta
ham tumhe chahe tum nahi chaho
aisha kabhi na ho sakta
pita apne balak se bichhud ke
sukh se kabhi na so sakta
hame darne ki jag me kya bat hai
jab hath me tihare meri laj hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai

zara samne to aao chhaliye

prem ki hai ye aag sajan jo
idhar uthe aur udhar lage
prem ki hai ye aag sajan jo
idhar uthe aur udhar lage
pyar ka hai ye taar piya jo
idhar saje aur udhar baje
teri prit pe bada hame naaz hai
mere sar ka tu hi re sartaj hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai

zara samne to aao chhaliye
chhup chhup chhalne me kya raz hai
yun chhup na sakega paramatma
meri atma ki ye aawaz hai
zara samne to aao chhaliye

Editing- S.M.Farid Bharti

No comments: