Pages

Thursday, 19 April 2012

Matlab nikal gaya hai to, pahchaante nahi


Matlab nikal gaya hai to, pahchaante nahi
yu ja rahe hain jaise hamein, jaante nahi

apni garaz thi jab to lipatna kabool tha
baahon ke daayare mein simatna kabool tha

ab ham mana rahe hain magar maante nahi

hamne tumhe pasand kiya, kya bura kiya
rutba hi kuch buland kiya kya bura kiya
har ik gali ki khak to ham chaante nahi

munh pher kar na jaao hamaare kareeb se
milta hai koi chaahane wala naseeb se
is tarah aashiqon pe kamaan taante nahi


Film- AMAANAT
Singer(s): RAFI, Editing- S.M.Farid Bharti

No comments: