Pages

Saturday, 14 January 2012


Tujhe Mila Nahi Humsa Koi,
Humein Mila Nahi Tujhsa Koi
Ye To Kismat Ki Baat Hai,
Ki Humari Nazar Me Is Kadar Basa Nahi Koi…
Share By : S.M.Farid Bharti

Qadam Qadam Par Ajmaya Waqt

Jo Ansu Ki Tarah Behta Gya Wo Raqt Hu Mai
Jise Qadam Qadam Par Ajmaya Gya Wo Waqt Hu Mai
Shayad Isi Tarah Likhi Meri Taqdeer Khuda Ne ….
Jise Chahne Wala To Mila Par Chaha Na Gya Aise Shaqs Hu Mai…
Share By : S.M.Farid Bharti

Dil Ke Qarib Hain Anjan Bohat Hain

Zara Si Zindagi Hain,Armaan Bohat Hain
Hamdard Nahin Koi,Insaan Bohat Hain
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kis Ko
Jo Dil Ke Qarib Hain,Wo Anjan Bohat Hain.
Share By : S.M.Farid Bharti

Dil He Wahi Tadap Bhi Wahi

Dil He Wahi Tadap Bhi Wahi
Gam He Wahi Izhar Ki Wajah Na Sahi..
Ansu The To Ro Lete The..
Rote To Ab Bhi He Par Ansu Na Sahi.
Share By : S.M.Farid Bharti

Pagal Huye Hum To Ulfat Usy B Thi

Pagal Huye Jo Hum To Ulfat Usy B Thi
Chaha Jo Hm Ne Us Ko To Chahat Usay B Thi
Usko Na Bhol Payengay Wo Janta Tha
Or Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay B Thi.

Maut Ka Kya Kasur

Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle
Kuch Pal Ruk Kr Fir Chal Nikle
Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle
Share By : S.M.Farid Bharti

Ye Dard Ka Toofan Guzarta Nahi

Ye Dard Ka Toofan Guzarta Kyun Nahi….
Dil Toot Gaya Hai To Bikharta Kyun Nahi.
Ek Hi Shakhs Ko Chahte Hai Kyun Itna…..
Koi Doosra Iss Dil Me Utarta Kyun Nahi.
Share By : S.M.Farid Bharti

Chirag Bujhakar Nahi Gayi

Wo Ruksat Huyi To Ankh Milakar Nahi Gayi
Wo Q Gayi Ye Batakar Nahi Gyi
Lagta He Wapis Abhi Laut Ayegi
Wo Jate Huwe Chirag Bujhakar Nahi Gayi
Share By : S.M.Farid Bharti

No comments: